chup hai har waqt ka rone waala

Home » Dard Bhari Shayari » chup hai har waqt ka rone waala

chup hai har waqt ka rone waala;
kuchh na kuchh aaj hai hone waala.
ek bhi ashq nahin hai aankhon mein;
sakht-jaan… kitna hai rone waala.
aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin;
haar phoolon ke pirone waala.
kho gayaa dard ki tasweeron mein;
pyaar ke rang bhigone waala.
fasl ashqon ki ug aayee kaise;
kyaa kahe …kahkahe bone waala.
baant-ta firta hai auron ko hansee;
khud ko ashqon mein dubone waala.
mutmayeen ab hain yahi soch ke hum;
ho rahega hai jo hone waala.
SHAUQ !…tum jiske liye marte ho…
..wo…tumhaaraa nahin hone waala…

Share and Enjoy:
  • Print
  • Digg
  • Sphinn
  • del.icio.us
  • Facebook
  • Mixx
  • Google Bookmarks
  • Blogplay

Leave a Reply

XHTML: You can use these tags: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <strike> <strong>