Bahadur Shah Zafar's Poetry
Collection of Bahadur Shah Zafar's Poetry. Read all the Latest Poems by Bahadur Shah Zafar. You can read all the Urdu Poetry of Bahadur Shah Zafar. Bahadur Shah Zafar's Poetry section is daily updated.Yar Tha Gulzar Tha Bad E Saba
yar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha layaq-e-pa-bos-e-jan kya hina thi main na tha hath kyon bandhe mere chala agar chori hua ye sarapa shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha main ne pucha kya hua wo ap ka husn-o-shabab hans k bola wo sanam shan-e-Khuda thi main na tha main sisakta rah gaya aur [...]
Ya Mujhe Afsar E Shaha Na
ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota ya mera taj gadaya na banaya hota khaksari k liye garche banaya tha mujhe kash khak-e-dar-e-janan na banaya hota nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko umr ka tang na paimana banaya hota apna diwana banaya mujhe hota tune kyon khirdmand banaya na banaya hota shola-e-husn chaman mein [...]
Wo Behisab Jo Pi K
wo behisab jo pi k kal sharab aya agarche mast tha main par mujhe hijab aya idhar khayal mere dil mein zulf ka guzra udhar wo khata hua dil mein pech-o-tab aya khayal kis ka samaya hai dida-o-dil mein na dil ko chain mujhe aur na shab ko khwab aya
Tum Na Aye Ek Din Ka Wada
tum na aye ek din ka wada kar do din talak ham pare tarpa kiye do do pahar do din talak dard-e-dil apna sunta hun kabhi jo ek din rahta hai us naznin ko dard-e-sar do din talak dekhte hain khwab mein jis din kisu ki chashm-e-mast rahte hain ham do jahan se bekhabar do [...]
The Kal Jo Apne Ghar Mein Wo
the kal jo apne ghar mein wo mahman kahan hain jo kho gaye hain ya rab wo ausan kahan hain ankhon mein rote rote nam bhi nahin ab to the maujzan jo pahle wo tufan kahan hain kuch aur dhab ab to hamein log dekhte hain pahle jo ai “Zafar” the wo insan kahan hain
Subah Ro Ro K Sham Hoti Hai
subah ro ro k sham hoti hai shab tarap kar tamam hoti hai samne chashm-e-mast k saqi kis ko parwah-e-jam hoti hai koi guncha khila k bul-bul ko bekali zar-e-dam hoti hai ham jo kehte hain kuch isharon se ye kheta la-kalam hoti hai
Pas E Marg Mere Mazar Par
pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya use ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari wo jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar kahin jawe [...]
Na Kisi Ki Ankh Ka Nur Hun
na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun mera rang-rup bigar [...]
Kije Na Das Mein Baith Kar | Bahadur Shah Zafar Poetry
kije na das mein baith kar apas ki bat chit pohnchegi das hazar jagah das ki bat chit kab tak rahen khamosh k zahir se ap ki ham ne bahut suni kas-o-nakas ki bat chit muddat k bad hazrat-e-naseh karam kiya farmaye mizaj-e-muqaddas ki bat chit par tark-e-ishq k liye izhar kuch na ho main [...]
Khulta Nahin Hai Hal Kisi Par | Bahadur Shah Zafar Poetry
khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo ayenge daure ap mere ghar kahe bagair kya tab kya majal hamari k bosa len lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair bedard tu sune na [...]


