Daag Dehlvi's Poetry
Collection of Daag Dehlvi's Poetry. Read all the Latest Poems by Daag Dehlvi. You can read all the Urdu Poetry of Daag Dehlvi. Daag Dehlvi's Poetry section is daily updated.Har Bar Mangti Hai
har bar mangti hai naya chashm-e-yar dil ik dil k kis tarah se banaun hazar dil pucha jo us ne talib-e-roz-e-jaza hai kaun nikla meri zaban se be-ikhtiyar dil karte ho ahad-e-vasl to itna rahe khayal paiman se zyada hai napayadar dil us ne kaha hai sabr parega raqib ka le aur beqarar hua ai [...]
Gazab Kiya, Tere Vade Pe
gazab kiya, tere vade pe aitabar kiya tamam rat qayamat ka intezar kiya hansa hansa k shab-e-vasl ashk-bar kiya tasalliyan mujhe de-de k beqarar kiya ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh ata magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya ye kisne jalva [...]
Gam Se Kahin Najat Mile
gam se kahin najat mile chain payen ham dil khun main nahae to ganga nahayen ham jannat main jayen ham k jahannum main jayen ham mil jae tu kahin na kahin tujh ko payen ham mumkin hai ye k vade pe apne vo a bhi jae mushkil ye hai k ap main us vaqt ayen [...]
Dil Ko Kya Ho Gaya
dil ko kya ho gaya Khuda jane kyon hai aisa udas kya jane kah diya main ne hal-e-dil apna is ko tum jano ya Khuda jane jante jante hi janega mujh main kya hai abhi wo kya jane tum na paoge sada dil mujh sa jo tagaful ko bhoi haya jane
Dil Gaya Tum Ne Liya
dil gaya tum ne liya ham kya karen janevali chiz ka gam kya karen pure honge apne arman kis tarah shauq behad waqt hai kam kya karen baksh den pyar ki gustakhiyan dil hi qabu main nahin, ham kya karen tund khu hai kab sune vo dil ki bat aur bhi baraham ko baraham kya [...]
Darte Hain Chashm O Zulf
darte hain chashm-o-zulf, nigah-o-ada se ham har dam panah mangte hain har bala se ham mashuq jaye hur mile, may bajaye ab mahshar main do saval karenge Khuda se ham go hal-e-dil chupate hain par is ko kya karen ate hain khud khud nazar ik mubtala se ham dekhen to pahle kaun mite uski rah [...]
Butan E Mahvash Ujri Hui Manzil
butan-e-mahvash ujri hui manzil main rahte hain k jis ki jan jati hai usi k dil main rahte hain hazaron hasraten vo hain k rok se nahin ruktin bahot arman aise hain k dil k dil main rahte hain Khuda rakhe muhabbat k liye abad donon ghar main un k dil main rahta hun vo [...]
Arazu Hai Vafa Kare Koi
arazu hai vafa kare koi ji na chahe to kya kare koi gar marz ho dava kare koi marne vale ka kya kare koi koste hain jale hue kya kya apne haq main dua kare koi un se sab apni apni kahte hain mera matalab ada kare koi tum sarapa ho surat-e-tasvir tum se phir [...]
Ajab Apna Hal Hota
ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main koi gair gair hota koi yar yar hota ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti na tumhen qarar hota na hamain qarar hota tere wade par sitamagar abhi [...]
Afat Ki Shokhiyan Hain
afat ki shokhiyan hain tumhari nigah main mehshar k fitne khelte hain jalwa-gah main wo dushmani se dekhte hain dekhte to hain main shad hun k hun to kisi ki nigah main ati bat bat mujhe yad bar bar kahata hun daur daur k qasid se rah main is taubah par hai naz mujhe zahid [...]
