Ehsaan Danish's Poetry

Collection of Ehsaan Danish's Poetry. Read all the Latest Poems by Ehsaan Danish. You can read all the Urdu Poetry of Ehsaan Danish. Ehsaan Danish's Poetry section is daily updated.
  • Yun Na Mil Mujh Se

  • yun na mil mujh se khafa ho jaise sath chal mauj-e-saba ho jaise log yun dekh kar hans dete hain tu mujhe bhul gaya ho jaise ishq ko shirk ki had tak na barha yun na mil hamse Khuda ho jaise maut bhi ai to is naz k sath mujh pe ehsan kiya ho jaise [...]

  • Sirf Ashk O Tabassum Main

  • sirf ashk-o-tabassum main uljhe rahe hamne dekha nahin zindagi ki taraf rat dhalte jab un ka khayal a gaya tik-tiki bandh gai chandani ki taraf kaun sa jurm hai,kya sitam ho gaya ankh agar uth gai, ap hi ki taraf jane vo multafit hon kidhar bazm main ansuon ki taraf ya hansi ki taraf

  • Pursish E Gam Ka Shukriya

  • pursish-e-gam ka shukriya, kya tujhe agahi nahin tere bagair zindagi dard hai, zindagi nahin daur tha ek guzar gaya, nasha tha ek utar gaya ab vo muqam hai jahan shikva-e-berukhi nahin tere siva karun pasand kya teri qayanat main donon jahan ki neamaten, qimat-e-bandagi nahin lakh zamana zulm dhaye, vaqt na vo Khuda dikhaye jab [...]

  • Nazar Fareb E Kaza Kha Gai

  • nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga hayat maut se takara gai to kya hoga nai sahar ke bahut log muntazir hain magar na-i sahar bhi kajla gai to kya hoga na rahnumaon ki majalis main le chalo mujhko main be-adab hun hansi a gai to kya hoga gam-e-hayat se beshaq hai khudkushi asan magar [...]

  • Kabhi Mujh Ko Sath Lekar

  • kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai vahi champai ujale vahi surmai dhundalake koi phul ban gaya hai koi chand [...]

    eXTReMe Tracker