Hafeez Jullundhary's Poetry

Collection of Hafeez Jullundhary's Poetry. Read all the Latest Poems by Hafeez Jullundhary. You can read all the Urdu Poetry of Hafeez Jullundhary. Hafeez Jullundhary's Poetry section is daily updated.
  • Ye Kya Muqam Hai Wo Nazare Kahan Gaye

  • ye kya muqam hai wo nazare kahan gaye wo phul kya huye wo sitare kahan gaye yaran-e-bazm-e-jurrat-e-rindana kya hui un mast ankhariyon k ishare kahan gaye ek aur daur ka wo taqaza kidhar gaya umre huye wo hosh k dhare kahan gaye uth uth k baith chuki gard rah ki yaro qafile thake hare kahan [...]

  • Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paye Khuda Kare

  • tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare tujh ko tera nasib rulaye Khuda kare raton mein tujh ko nind na aye Khuda kare tu dar-ba-dar ki thokren khaye Khuda kare aye bahar tere gulistan mein bar bar tujh par kabhi nikhar na aye Khuda kare meri tarah tujhe bhi jawani mein gam mile [...]

  • Koi Dawa Na De Sake Mashwara Dua Diya

  • koi dawa na de sake, mashwara dua diya charagaron ne aur bhi dil ka dard barha diya zauq-e-nigah k siwa shauq-e-gunah k siwa mujhko Khuda se kya mila mujhko buton ne kya diya thi na khizan ki rok-tham daman-e-ikhtiyar mein hamne bhari bahar mein apna chaman luta diya husn-e-nazar ki abaru sanat-e-brahaman se hai jisko [...]

  • Koi Chara Nahin Dua K Siwa

  • koi chara nahin dua k siwa koi sunta nahin Khuda k siwa mujh se kya ho saka wafa k siwa mujh ko milta bhi kya saza k siwa dil sabhi kuch zaban par laya ik faqat arz-e-mudda k siwa barsar-e-sahil-e-muqam yahan kaun ubhra hai nakhuda k siwa dil sabhi kuch zuban par laya ik faqat [...]

  • Khun Ban Kar Munasib Nahin Dil Bahe

  • khun ban kar munasib nahin dil bahe dil nahin manta kaun dil se kahe teri dunya mein aye bahut din rahe sukh ye paya k hamne bahut dukh sahe bulbulen gul k ansu nahin chattein un ko apne hi margub hain chehchahe alam-e-naza mein sun raha hun main kya ye azizon ki chikhen hai ya [...]

  • Ham Hi Mein Thi Na Koi Bat

  • bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai bhatke hue insan se kuch bhul hui hai ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein phulon k nigehban se kuch bhul hui hai jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe mere dil-e-nadan [...]

  • Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare

  • dil abhi tak jawan hai pyare kis musibat mein jan hai pyare tu mere hal ka khayal na kar is mein bhi ek shan hai pyare rat kam hai na cher hijr ki bat ye bari dastan hai pyare talkh kar di hai zindagi jis ne kitni mithi zaban hai pyare jane kya kah diya [...]

  • Ai Dost Mit Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main

  • ai dost mit gaya hun fana ho gaya hun main is daur-e-dosti ki dawa ho gaya hun main qayam kiya hai maine adam k wajud ko dunya samajh rahi hai fana ho gaya hun main himmat buland thi magar uftad dekhna chupchap aj mahw-e-dua ho gaya hun main ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahin shayad [...]

  • Ab To Kuch Aur Bhi Andhera Hai

  • ab to kuch aur bhi andhera hai ye meri rat ka sawera hai rahzanon se to bhag nikla tha ab mujhe rahbaron ne ghera hai age age chalo tabar walo abhi jangal bahut ghanera hai qafila kis ki pairawi mein chale kaun sab se bara lutera hai so raho ab “Hafeez”ji tum bhi ye nai [...]

  • Aagar Mauj Hai Bich Dhare Chala Chal

  • agar mauj hai bich dhare chala chal wagarna kinare kinare chala chal isi chal se mere pyare chala chal guzarti hai jaise guzare chala chal tujhe sath dena hai bahrupiyon ka naye se naya rup dhare chala chal musalsal buton ki tamanna kiye ja musalsal Khuda ko pukare chala chal tujhe to abhi der tak [...]

    eXTReMe Tracker