Iftikhar Arif's Poetry

Collection of Iftikhar Arif's Poetry. Read all the Latest Poems by Iftikhar Arif. You can read all the Urdu Poetry of Iftikhar Arif. Iftikhar Arif's Poetry section is daily updated.
  • Zara Si Der Ko Aye The Khwab Ankhon Mein

  • zara si der ko aye the khwab ankhon mein phir us k bad musalsal azab ankhon mein wo jis k nam ki nisbat se raushan tha wujud khatak raha hai wahi aftab ankhon mein jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe the ham wo aine bhi hue behijab ankhon mein ajab tarah ka hai mausam k khak urti [...]

  • Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha

  • ye ab khula hai k koi bhi manzar mera na tha main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha main jis ko ek umr sambhale phira kiya mitti bata rahi wo paikar mera na tha mauj-e-hawa-e-shahar-e-muqaddar jawab de dariya mere na the k samandar mera na tha phir bhi to sangsar kiya [...]

  • Thakan To Agle Safar K Liye Bahana Tha

  • thakan to agle safar k liye bahana tha use to yun bhi kisi aur simt jana tha wahi chirag bujha jis ki lau qayamat thi usi pe zarb pari jo shajar purana tha mata-e-jan ka badal ek pal ki sarshari suluk khwab ka ankhon se tazirana tha wahi firaq ki baten wahi hikayat-e-wasl nai kitab [...]

  • Mere Khuda Mujhe Itna To Motabar Kar De

  • mere Khuda mujhe itna to motabar kar de main jis makan mein rahta hun us ko ghar kar de ye roshni k taqqub mein bhagta hua din jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de main zindagi ki dua mangne laga hun bahut jo ho sake to duaon ko beasar kar de [...]

  • Khwab Ki Tarah Bikhar Jane Ko

  • khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai ghar ki wehshat se larzta hun magar jane kyon sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai [...]

  • Dayar E Nur Mein Tera Shabon Ka Sathi Ho

  • dayar-e-nur mein tera shabon ka sathi ho koi to ho jo meri wahshaton ka sathi ho main us se jhuth bhi bolun to mujh se sach bole mere mizaj k sab mosamon ka sathi ho wo mere nam ki nisbat se motabar thehre gali gali meri ruswaiyon ka sathi ho main us k hath na [...]

    eXTReMe Tracker