Meer Taqi Meer's Poetry
Collection of Meer Taqi Meer's Poetry. Read all the Latest Poems by Meer Taqi Meer. You can read all the Urdu Poetry of Meer Taqi Meer. Meer Taqi Meer's Poetry section is daily updated.Ashk Ankhon Main Kab Nahin Ata
ashk ankhon main kab nahin ata lahu ata hai jab nahin ata hosh jata nahin raha lekin jab wo ata hai tab nahin ata dil se rukhsat hui koi khwahish girya kuch be-sabab nahin ata ishq ka hausala hai shart warna bat ka kis ko dhab nahin ata ji main kya-kya hai apne ae hamdam [...]
Arzuen Hazar Rakhte Hain
arzuen hazar rakhte hain to bhi ham dil ko mar rakhte hain barq kam hausla hai ham bhi to dil ek beqarar rakhte hain gair hai murad-e-inayat hae ham bhi to tum se pyar rakhte hain na nigah na payam na wada nam ko ham bhi yar rakhte hain ham se khush zam-zama kahan yun [...]
Ankhon Mein Ji Mera Hai Idhar Yar Dekhna
ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna ashiq ka apane akhri didar dekhna kaisa chaman ke ham se asiron ko mana hai chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar laga hai mere paon mein a kar dekhna [...]
Andoh Se Hui Na Rihai Tamam Shab
andoh se hui na rihai tamam shab mujh dil jale ko nind na ai tamam shab chamak chali gai thi sitaron ki subah tak k asman se didabarai tamam shab jab main ne shuru qissa kiya ankhen khol din yaqini thi mujh ko chashm numai tamam shab waqt-e-siyah ne der mein kal yawari si ki [...]
Ab Jo Ik Hasrat E Jawani Hai Hai
ab jo ik hasrat-e-jawani hai umr-e-rafta ki ye nishani hai khak thi maujzan jahan mein, aur ham ko dhoka ye tha k pani hai giriya har waqt ka nahin behech dil mein koi gam-e-nihani hai ham qafas zad qaidi hain warna ta chaman parfashani hai yan huye ‘Mir’ ham barabar-e-khak wan wahi naz-o-sargirani hai
A Jayen Ham Nazar Jo
a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein [...]


