mirza galib's Poetry

Collection of mirza galib's Poetry. Read all the Latest Poems by mirza galib. You can read all the Urdu Poetry of mirza galib. mirza galib's Poetry section is daily updated.
  • Dekhna Qismat K Ap Apne Pe Rashk A Jaye Hai

  • dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai main use dekhun bhala kab mujhse dekha jaye hai hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai abgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi kare gar haya bhi usko ati hai to sharma jaye hai shauq ko [...]

  • Dayam Para Hua Tere Dar Par Nahi Hun Main

  • dayam para hua tere dar par nahi hun main khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main had chahiye saza mein uqubat k waste akhir gunahgar hun, [...]

  • Dard Minnat Kashe Dawa Na Hua

  • dard minnat kashe-dawa na hua main na acha hua, bura na hua jama karte ho kyon raqibon ko ik tamasha hua gila na hua ham kahan qismat azmane jayen tu hi jab khanjar azma na hua kitne shirin hain tere lab k raqib galiyan khak bemaza na hua hai khabar garm un k ane ki [...]

  • Chahiye Achon Ko Jitna Chahiye

  • chahiye achon ko jitna chahiye ye agar chahen to phir kya chahiye sohbat-e-rinda se wajib hai hazar ja-e-mai apne ko khencha chahiye chahne ko tere kya samjha tha dil bare ab is se bhi samjha chahiye chak mat kar jeb be ayyam-e-gul kuch udhar ka bhi ishara chahiye dosti ka parda hai beganagi munh chupana [...]

  • Aina Kyun Na Dun K Tamasha Kahen Jise

  • aina kyun na dun k tamasha kahen jise aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein guldasta-e-nigah suweda kahen jise phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda afsun-e-intazar tamanna kahen jise sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar [...]

  • Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak

  • ah ko chahiye ik umr asar hone tak kaun jita hai teri zulf k sar hone tak dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak ashiqi sabr-talab aur tamanna betab dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak ham ne mana k taaful na karoge lekin khak ho [...]

  • Aa Ki Meri Jan Mein Qarar Nahi Hai

  • a ki meri jan mein qarar nahi hai taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai giriya nikle hai teri bazm se mujh ko haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir khak mein ushshaq ki gubar nahi hai dil se utha lutf-e-jalwa haye mani [...]

  • Na Tha kucH to Khuda tha

  • Na Tha kucH to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hota dubooYa mujhKo hoNi ne, na hota maiN to kya hota hua jub Gam se Yun beHis, to Gum kya sar ke katNe ka gar juda na hota tan sE, to zannon pur dhara hota huI muddat ki Ghalib mar gaya, puR yaaD Aata [...]

  • vo aaye ghar me

  • ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n

  • ye na thee hamaaree qismat

  • ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota agar aur jeete rehte yahee intezaar hota tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa ke KHushee se mar na jaate agar ‘eitabaar hota