Nasir Kazmi's Poetry

Collection of Nasir Kazmi's Poetry. Read all the Latest Poems by Nasir Kazmi. You can read all the Urdu Poetry of Nasir Kazmi. Nasir Kazmi's Poetry section is daily updated.
  • Zaban Sukhan Ko

  • zaban sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarsega naye pyale sahi tere daur main saqi ye daur meri sharab-e-kohan ko tarsega mujhe to khair watan chor k aman na mili watan bhi mujh se garib-ul-watan ko tarsega unhin k dam se farozan hain millaton k charag zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega badal [...]

  • Ye Bhi Kya Sham E Mulaqat Ai

  • ye bhi kya sham-e-mulaqat ai lab pe mushkil se teri bat ai subah se chup hain tere hijr nasib haye kya hoga agar rat ai bastiyan chor k barse badal kis qayamat ki ye barsat ai koi jab mil k hua tha rukhsat dil-e-betab wahi rat ai saya-e-zulf-e-butan main ‘Nasir’ ek se ek nai rat [...]

  • Wo Dil Nawaz Hai

  • wo dil nawaz hai nazar shanas nahi mera ilaj mere charagar k pas nahi tarap rahe hain zaban par kai sawal magar mere liye koi shayan-e-iltamas nahi tere ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai mere mizaj ko asudagi bhi ras nahi kabhi kabhi jo tere qurb main guzre the ab un dinon ka [...]

  • Tu Hai Ya Tera Saya Hai

  • tu hai ya tera saya hai bhes judai ne badla hai dil ki haweli par muddat se khamoshi ka qufl para hai chikh rahe hain khali kamre sham se kitni tez hawa hai darwaze sar phor rahe hain kaun is ghar ko chor gaya hai hichki thamti hi nahi ‘Nasir’ aj kisi ne yad kiya [...]

  • Tere Milne Ko Bekal Ho Gaye Hain

  • tere milne ko bekal ho gaye hain magar ye log pagal ho gaye hain baharen lek aye the jahan tum wo ghar sunsan jangal ho gaye hain yahan tak barh gaye alam-e-hasti k dil k hausale shal ho gaye hain kahan tak tab laye natawan dil k sadme ab musalsal ho gaye hain nigah-e-yas ko [...]

  • Tere Khayal Se Lau De Uthi Hai Tanhai

  • tere khayal se lau de uthi hai tanhai shab-e-firaq hai ya teri jalwarai tu kis khayal main hai ai manzilon k shadai unhen bhi dekh jinhen raste main nind ai pukar ai jaras-e-karawan-e-subah-e-tarab bhatak rahe hain andheron main tere saudai rah-e-hayat main kuch marhale to dekh liye ye aur bat teri arazu na ras ai [...]

  • Safar E Manzil E Shab Yad Nahi

  • safar-e-manzil-e-shab yad nahi log rukhsat huye kab yad nahi dil main har waqt chubhan rahti thi thi mujhe kis ki talab yad nahi wo sitara thi k shabnam thi k phul ik surat thi ajab yad nahi aisa uljha hun gam-e-duniya main ek bhi khwab-e-tarab yad nahi bhulte jate hain mazi k dayar yad ayen [...]

  • Phir Sawan Rut Ki Pawan Chali

  • phir sawan rut ki pawan chali tum yad aye phir patton ki pazeb baji tum yad aye phir kunjen bolin ghas k hare samandar main rut ai pile phulon ki tum yad aye phir kaga bola ghar k sune angan main phir amrat ras ki bund pari tum yad aye pahle to main chikh k [...]

  • Niyat E Shauq Bhar Na Jaye Kahin

  • niyat-e-shauq bhar na jaye kahin tu bhi dil se utar na jaye kahin aj dekha hai tujhe der k bad aj ka din guzar na jaye kahin na mila kar udas logon se husn tera bikhar na jaye kahin arzu hai k tu yahan aye aur phir umr bhar na jaye kahin ji jalata hun [...]

  • Naye Kapre Badal Kar Jaun Kahan

  • naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye wo shahar main tha to us [...]