Sagar Saddiqi's Poetry
Collection of Sagar Saddiqi's Poetry. Read all the Latest Poems by Sagar Saddiqi. You can read all the Urdu Poetry of Sagar Saddiqi. Sagar Saddiqi's Poetry section is daily updated.Ye Jo Diwane Se Do Char Nazar Ate Hain
ye jo diwane se do char nazar ate hain in mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain werna ye log to bedar nazar ate hain dur tak koi sitara hai na koi jugnu marg-e-ummid k asar nazar ate hain mere daman mein shararon k siwa kuch bhi [...]
Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
wo bulayen to kya tamasha ho ham na jayen to kya tamasha ho ye kinaron se khelne wale dub jayen to kya tamasha ho bandaparwar jo ham pe guzri hai ham batayen to kya tamasha ho aj ham bhi teri wafaon par muskurayen to kya tamasha ho teri surat jo ittefaq se ham bhul jayen [...]
Tere Daman Ki Hawa Mangte Hain
tere daman ki hawa mangte hain ham bhi jine ki dua mangte hain mutribo koi achuta nagma saz ahang-o-sada mangte hain mah-o-anjum k jharoke aksar kisi k ariz ki dua mangte hain phir patangon mein Khudai jagi shole hashr-numa mangte hain banda-parwar koi khairat nahin ham wafaon ka sila mangte hain maikada ho k kalisa [...]
Hai Dua Yad Magar Harf E Dua Yad Nahin
hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai main wo sahil hun jise koi sada yad nahin main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki [...]
Ek Wada Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahin
ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin marmari taron bhari raton mein kya hota nahin ji mein ata hai ulat dein un k chehre se naqab hausla karte hain lekin hausla hota nahin shama jis ki abru par jan de de jhum kar wo patanga jal to jata hai fana hota nahin
Ek Muddat Hui Ek Zamana Hua
ek muddat hui ek zamana hua khak-e-gulshan mein jab ashiyana hua zulf-e-barham ki jab se shanasai hui zindagi ka chalan mujremana hua phul jalte rahe chand hanste raha arzu ka muqammal fasana hua dag dil k shahanshah k sike bane dil ka muflis-kada jab khazana hua rahbar ne palat kar na dekha kabhi rahr-o-raste ka [...]
Dukh Dard Ki Saugat Hai
dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain tarik si ik rat hai dunya teri kya hai paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi ik jazya-e-lamhat hai dunya teri kya hai taqdir k chehre ki shikan dekh raha hun [...]
Chupaye Dil Mein Gamon Ka Jahan
chupaye dil mein gamon ka jahan baithe hain tumhari bazm mein ham bezaban baithe hain ye aur bat k manzil pe ham pahunch na sake magar ye kam hai k rahon ko chan baithe hain fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam abhi to ghar mein bahut mehrban baithe hain ab aur gardish-e-taqdir kya satayegi luta k [...]
Chandni Ko Rusul Kahta Hun
chandni ko rusul kahta hun bat ko bausul kahta hun jagmagate hue sitaron ko tere pairon ki dhul kahta hun jo chaman ki hayat ko das le us kali ko babul kahta hun ittefaqan tumhare milne ko zindagi ka husul kahta hun ap ki sanwali si surat ko zauq-e-yazdan ki bhul kahta hun jab mayassar [...]
Bhuli Hui Sada Hun Mujhe Yad Kijiye
bhuli hui sada hun mujhe yad kijiye tum se kahin mila hun mujhe yad kijiye manzil nahin hun khizr nahin rahzan nahin manzil ka ranta hun mujhe yad kijiye meri nigah-e-shauq se har gul hai dewta main ishq ka khuda hun mujhe yad kijiye nagmon ki ibtida thi kabhi mere nam se ashkon ki intaha [...]
