Mirza Ghalib

Collection of Mirza Ghalib, Urdu Mirza Ghalib, Hindi Mirza Ghalib, Urdu Mirza Ghalib and Poetry. Mirza Ghalib Section is regularly updated with new and fresh Shayari.
  • aina kyun na dun k tamasha kahen jise

  • aina kyun na dun k tamasha kahen jise aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein guldasta-e-nigah suweda kahen jise phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda afsun-e-intazar tamanna kahen jise sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar [...]

  • khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye

  • amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost

  • Bahot Sahi Gam E Geti Sharab Kam Kya Hai

  • bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai raqib par hai agar lutf to sitam kya hai sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai

  • bas k dushwar hai har kam ka asan hona

  • bas k dushwar hai har kam ka asan hona admi ko bhi mayassar nahi insan hona giriya chahe hai kharabi mere kashane ki dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko ap jana udhar aur ap hi hairan hona jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona [...]

  • bazicha-e-atfal hai duniya mere age

  • bazicha-e-atfal hai duniya mere age hota hai shab-o-roz tamasha mere age ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik ik bat hai ejaz-e-masiha mere age juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age hota hai nihan gard mein sehra mere hote ghista hai jabin khak pe dariya mere age mat puch k kya [...]