Urdu Poetry

Collection of Urdu Poetry, Urdu Urdu Poetry, Hindi Urdu Poetry, Urdu Urdu Poetry and Poetry. Urdu Poetry Section is regularly updated with new and fresh Shayari.
  • Khila jo Phool tu Bulbul

  • Gamon Ki Na Baat Kar…

  • gamon ki na baat kar sukun e dil mein jhank kar zakhmon ko na ched mere tu bas apni baat kar zindagi aur marhale bahot hai sikhane keliye Jhoot ka sahara lete hai sab sach ko chupane keliye Yakeen mera na aaye to saaqi se ja ke puch le Gamon ko nichodte hai sharab banane [...]

  • Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta Nahin Tha

  • hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha tere shanon pe koi chat nahin thi mere zimme koi angan nahin tha koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama hawa-e-dasht ki manind tu azad tha raste teri marzi k tabe the mujhe bhi apni tanhai pe dekha jaye to [...]

  • Guman

  • main kachi nind main hun aur apne nim khwabida tanaffus main utarti chandani ki chap sunti hun guman hai aj bhi shayad mere mathe pe tere lab sitare sabat karte hain

  • Dil Ka Kya Hai Wo To Chahega

  • dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna wan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna ishq ki rah k musafir ka muqaddar malum dasht-e-ummid main andeshe ka badal milna daman-e-shab ko agar chak bhi kar [...]

  • Dasht E Shab Par Dikhai Kya Dengi

  • dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde [...]

  • Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki

  • chehra mera tha nigahen us ki khamushi main bhi wo baten us ki mere chehre pe gazal likhti gain sher kahti hui ankhen us ki shokh lamhon ka pata dene lagin tez hoti hui sansen us ki aise mausam bhi guzare ham ne subhen jab apni thin shamain us ki dhyan main us k ye [...]

  • Barish Hui To Phulon

  • barish hui to phulon k tan chak ho gaye mausam k hath bhig k saffak ho gaye badal ko kya khabar k barish ki chah main kitne buland-o-bala shajar khak ho gaye jugnu ko din k waqt pakarne ki zid karen bache hamare ahad k chalak ho gaye lahra rahi hai barf k chadar hata [...]

  • Badban Khulne Se Pahle Ka

  • badban khulne se pahle ka ishara dekhna main samandar dekhti hun tum kinara dekhna yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar jate jate us ka wo mur k dubara dekhna kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna aine ki ankh hi kuch kam na [...]

  • Apni Ruswai Tere Nam Ka Charcha Dekhun

  • apni ruswai tere nam ka charcha dekhun ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun sab ziden us ki main puri karun [...]

    eXTReMe Tracker