Yeh jo aik dasht-e-firaq hai
Home » Umeed Shayari » Yeh jo aik dasht-e-firaq haiYeh jo aik dasht-e-firaq hai
Yeh jo aik dasht-e-firaq hai yeh rukay agar
Yeh rukay agar toa nishan milay
Yeh nishan milay keh jo faasoloan ki saleeb hai
Yeh garri hoi hai kahan kahan
Meray aasman say kidhar gayee
Teray ittifaq ki kehkashan
Meray bay-khabar meray bay-nishan
Yeh rukay agar toa pata chalay
Main tha kis nagar tu raha kahan
Keh zaman-o-makan ki yeh wusaatain
Tujhay dekhnay ko taras gayeen
Woh meray naseeb ki barishain
Kisi aur chhat pay baras gayeen
Leave a Reply
Next: Muhabbat meherban hog »
